Umood Abrar Ahmed عمود ابرار احمد
← Back to Poetry
Ghazal اردو / Roman Sad, Romantic, Melancholy, Devotion, Longing, Philosophical, Ishq

شریکِ غم بنایا بھی نہیں ہے

sharik-e-gham banaya bhi nahin hai

April 15, 2026 · 7 views

اردو

شریکِ غم بنایا بھی نہیں ہے تجھے تجھ سے چرایا بھی نہیں ہے یہ سازِ عشق میں نے رقص کر کے ابھی دل کو سنایا بھی نہیں ہے تری تصویر سے باتیں بہت کیں مگر تجھ کو بتایا بھی نہیں ہے ابھی رستے ہمارے ہم نشیں ہیں ابھی گھر کو سجایا بھی نہیں ہے محبت قرض ہے اس دل پہ تیرے جسے تو نے چکایا بھی نہیں ہے بہت جاگے تمہاری یاد میں ہم مگر تم کو جگایا بھی نہیں ہے ترے دل میں محبت کا ستارہ ابھی تو جگمگایا بھی نہیں ہے

Roman Urdu

sharīk-e-ġham banāyā bhī nahīñ hai tujhe tujh se churāyā bhī nahīñ hai ye sāz-e-ishq maiñ ne raqs kar ke abhī dil ko sunāyā bhī nahīñ hai tirī tasvīr se bāteñ bahut kiiñ magar tujh ko batāyā bhī nahīñ hai abhī raste hamāre ham-nashīñ haiñ abhī ghar ko sajāyā bhī nahīñ hai mohabbat qarz hai is dil pe tere jise tū ne chukāyā bhī nahīñ hai bahut jaage tumhārī yaad meñ ham magar tum ko jagāyā bhī nahīñ hai tire dil meñ mohabbat kā sitārā abhī to jagmagāyā bhī nahīñ hai

Related Poetry