Umood Abrar Ahmed عمود ابرار احمد
← Back to Poetry
Ghazal اردو / Roman Sad, Deep, Philosophical, Zabt, Emotional, Urdu Poetry

جب بہایا ہی نہیں آنکھ سے پانی میں نے

jab bahaya hi nahin aankh se pani maine

January 01, 2026 · 10 views

اردو

جب بہایا ہی نہیں آنکھ سے پانی میں نے ایک ہی لفظ میں لکھ دی ہے کہانی میں نے ضبط طوفان کا ٹوٹا نہ کبھی سینے میں روک رکھی ہے سمندر کی روانی میں نے شَبد بے خوف کتابوں میں اتارے میں نے پھر کتابوں پہ جمی خاک بھی چھانی میں نے مجھ کو وجدان تھا سیلاب نے تو آنا ہے دیکھ لی خواب میں اس شام نشانی میں نے آرزوؤں نے مرے دل میں تباہی کر دی پھر کسی چاہ کی امید نہ ٹھانی میں نے تُو نے سمجھا تھا مجھے آج بھی پاگل ہوں وہی عادتیں چھوڑ دیں جتنی تھیں پرانی میں نے کیا بتاؤں میں اسے 'عمرِ گریزاں' سے 'عمود' سیکھ لی دشت میں اب خاک اڑانی میں نے

Roman Urdu

jab bahāyā hī nahīñ aañkh se paanī maiñ ne ek hī lafz meñ likh dī hai kahānī maiñ ne zabt tūfān kā TuuTā na kabhī siine meñ rok rakkhī hai samundar kī ravānī maiñ ne shabd be-ḳhauf kitāboñ meñ utāre maiñ ne phir kitāboñ pe jamī ḳhaak bhī chhānī maiñ ne mujh ko vijdān thā sailāb ne to aanā hai dekh lī ḳhvāb meñ us shaam nishānī maiñ ne ārzūoñ ne mire dil meñ tabāhī kar dī phir kisī chaah kī ummīd na Thānī maiñ ne tū ne samjhā thā mujhe aaj bhī pāgal huuñ vahī 'ādateñ chhoḌ diiñ jitnī thiiñ purānī maiñ ne kyā batā.ūñ maiñ use 'umr-e-gurezāñ se 'umūd' siikh lī dasht meñ ab ḳhaak uḌānī maiñ ne

Related Poetry