Umood Abrar Ahmed عمود ابرار احمد
← Back to Poetry
Ghazal اردو / Roman

دے تسلی مرے خدا کوئی

de tasalli mere KHuda koi

March 01, 2026 · 6 views

اردو

دے تسلی مرے خدا کوئی حالِ دل کی نہیں دوا کوئی حالتِ رنج میں ہوا معلوم کیسے کرتا ہے التجا کوئی تم سے جڑتی ہیں دل کی دیواریں آؤ کر دیں مکاں کھڑا کوئی کیا یہی عشق ہے محبت ہے مجھ کو ملتا نہیں سرا کوئی تجھ سے نسبت عجیب نسبت ہے مجھ کو اپنا نہیں پتا کوئی وہ بھی ہونے لگا جدا مجھ سے جس کو اپنا نہیں ملا کوئی سب ہی حالات کے ہیں مارے ہوئے مشکلوں سے نہیں بچا کوئی

Roman Urdu

de tasallī mire ḳhudā koī hāl-e-dil kī nahīñ davā koī hālat-e-ranj meñ huā mā'lūm kaise kartā hai iltijā koī tum se juḌtī haiñ dil kī dīvāreñ aao kar deñ makāñ khaḌā koī kyā yahī 'ishq hai mohabbat hai mujh ko miltā nahīñ sirā koī tujh se nisbat 'ajīb nisbat hai mujh ko apnā nahīñ patā koī vo bhī hone lagā judā mujh se jis ko apnā nahīñ milā koī sab hī hālāt ke haiñ maare hue mushkiloñ se nahīñ bachā koī

Related Poetry